Aoa sir. Subtitles aur captions me difference bta de? Capcut k through hum subtitle lga letay ha aur srt file b mil jati ha. Ab caption in me kya ha ?
- Secondly synced subtitles kya hotay ha?
Sohail Sardar Answered question October 22, 2023
- Subtitles aap Offline Video Ko Laga K Dete Hain – Jese Kisi Ne Kaha is video ko download ker do aur is me subtitle laga dein aur is kam k leay aap capcut mazay se istemal ker sektay kiun k capcut us ki transcription bhi ker deta aur subtitle place ker k video bana deta
- aur Captions ka matlab aapko kisi online video k leay koshesh kren – jese youtube pe kisi ne video upload kerni online aur wo wahan pe close captions lagwana chahta to us k leay aap bhi aap capcut use ker sektay aur wo possible isi SRT file k through hota – sakoon se SRT file len aur Youtube me video upload kerte huay ya upload ho chuki video me ja k subtitle k portion me yahi SRT file pakra dein – video me caption appear ho jain gay
- synced subtitles ka matlab hai keh baaz oqat logu k pas content mojood hota hai vjdei dialogues ka laken wo proper timestemp me nai hota is leay aap ko task dea jata hai keh aap proper dialogues ko text k sath sync ker deb
Sohail Sardar Answered question October 22, 2023