sir is men Time reference, Verbatim transcription and Number of speakers ko define kar dyn in ka kia matlab ha.
Time Reference: jab aap transcription kerte hain to aapki transcription time k hisab se transcribe hoti hai – aur timestamps create hoti jati hain keh is timing se is timing me ye bola gea – same start se end tak portions me devide ho jati transcription ta keh idea ho sakay kis time se kis time me kia bola gea
Verbatim transcription: Means keh esi transcription jo same to same ki jay – jahan speakers k experssions bhi note keay jain – un k smile kerne ko bhi brackets me note ker k sath sath bataya jay, wo wonder feel ker rahay , kisi ki bat k badlay soch me per jatay to brackets me likha jata keh [Thinking a while] etc, and evem emm, hmmm, oh, etc type reactions bhi note keay jatay, aur background me door close honay ki awaz aay to wo bhi likha jata brackets me keh [door close sound] etc
Number of speakers: means keh conversation jo ki ja rahi us me kitne speaker hain, ager aik client ne aapko aik audio di jis me 3 log bat ker rahay, to hum speaker k bolnay ko seperate btatay keh is time speaker 1 bol raha ya speaker 2 bol raha ya speaker 3 bol raha, ya unko hum koi naam bhi de sektay hain , phir jis portion me jo bat start kerta hun us k naam k sath likhte speaker falan speaker falan etc