Assalam u alaikum sir g first of all Prograam par na aane ki maazrat . Ammi jan ki tabiyat nasaz ho gai thi to hospital le kar chala gya thy…
Inshallah Zindagi bakher next jab auga to aik successful story k sath.
Sir g meri aik Query hai jo mjhe smjh ni arhi…
mene APK ki sites par visit kia unhe root domain krta hu to top pages jo show hote hain unme site ki domain name k sath kisi country ka name hota hai unke 2 character hote hain … lakin wo posts os site par Guide ya Blog wale section me wo posts ni hoti. waha aik hi post ati hai downloading wala page ..ye kia scene hai.
For example
snaptubead.com/pt
snaptubead.com/es
snaptubead.com/tr
snaptubead.com/fr
snaptubead.com/ar
TBS25 Pe Milen gay – No Narazgi – Allah Pak Ama G Ko Sehat Ata Kren
Multi Language Websites ka bahut trend hai aur is ka faeda bhi bahut hai – same post ko translate kra k log different LANG code k sath URL create kra k other countroes me bhi sites ko rank kerne ki koshesh kerte hain – MULTO LANG ki different approaches hain different logu ki – koi LANGUAGE library add ker k kam kerta – koi Google Translate API se kam leta – koi permanent pages other languages k create kerta to koi simple suffix use kerta – So aap jis site ka keh rahay hungay wahan yahi hoga k un k LANG suffix hungay aur dedicated pages nai hun gay – laken Cheez same hi hoti hai jo unka main page hai usi ka data aur other LANG ka bhi same hota hai – So aap Root Domain Sahi ker Rahay – usi ka data analyse kren aap